Tuesday, September 29, 2009

Anmol Subah

Wo Subah nayi thi aur shayad sabse alag bhi,
Kyoki –
Us subah ka Suryodaya nav uday tha mere jivan mein…
Tumhare Rup mein…
Ek Khubsurat ' Sambhawana '
Ki jaise - Kisi Chitrkar ne koi aks banaya ho
Ki jaise - Kisi Shilpi ne gadhi ho koi murat apne man mandir mein
Ki jaise - Kisi Kavi ne koi naya shabd piroya ho apni kavita mein
Ki jaise - Koi meetha sur nikla ho kisi saj se……..
Tumhari Udan ko ab aur Vistar milega…
Tumhare khwabo ke hans udenge aur unche…
Kyoki -
Mein apne hisse ka Aakash bhi tumhe sop rahi hoo…..

3 comments:

लोकेन्द्र विक्रम सिंह said...

वाह.....
नई सुबह फिर त्याग भाव को समेटती रचना....

रश्मि प्रभा... said...

khoobsurat subah.......hamesha saath rahe .
aur haan ise hindi me hi type karen

Kavya "ek najm" said...

behad dhanwad